
Satellite Pizza ek bhut hi bdiya aur yummy recipe hai. Ye pizza bachon ko bhut pasand ata hai. Ise aap birthday party mein serve kr skte hai. Ye ek new recipe hai jisme aap vegetable ko dalte hai aur bache bde maze se khate hai. To aiye shuru krte hai ise bnane ki vidhi.

Banane Ka Samay
Banane Ka Samay: 30/ 35 minute
Ingredients of Satellite Pizza (सामग्री)
- 4 piece white bread
- 1 red Shimla mirch barik kati hui
- 1 yellow Shimla mirch barik kati hui
- 1 cup onion barik Kate hue
- 1/2 cup corn
- Namak swad anusar
- Kali mirch 1 spoon
- Tomato 1 barik kata hua
- Mozerrella cheese 3/4 cup
- Pizza sauce 2 spoon
- Butter 1 spoon
- Mayonaise 1 spoon
- Chilli flakes 1/2 spoon
- Tomato sauce 1/2 spoon
Recipe (विधि)
- Sbse phle 1 bde bowl mein red Shimla mirch, yellow Shimla mirch, pyaj, corn, tomato, namak, mozerrella cheese, chilli flakes, pizza sauce, kali mirch dal de.
- Ab inko spatula ki help se ache se mix krein.
- Phir 2 piece bread le.
- In bread ko ek choti round shape bowl ki help se beech mein se Kate.
- Dhyan rhe bread bowl ko bread ke beech mein rkhe aur bread ke corners nikal de. Bread round shape mein kat jayega.
- Ye round piece 2 breads ke krne hai.
- Ab ek round shape ke Kate hue bread ko ek choti katori ki help se beech mein se Kate aur bread ka beech ka part nikal de.

- Ek bowl mein mayonaise, butter, tomato sauce dal kr mix krein.
- Is mixture ko bread ke ek piece pr felaiye.

- Ab beech mein se Kate hue bread ko iske upar rkhe aur phle se tyar vegetable mixture ko iske andr stuff krein.
- Isi trh bread ko tyar krein.
- Phir in bread ko baking tray mein krein aur 10 se 15 minute ke liye 180 degree celcius pr bake krein.

- Ab apka Pizza tyar hai.

Leave a Reply