

Garlic Bread ek bhut hi swadisht snack hai. Isme lahsun dale hone ke karan ye healthy bhi hota hai. Ise hum pan mein bnayenge jo bhut easy hai. Ye bread sb log bhut pasand krte hai. To aiye shuru krte hai ise bnane ki vidhi.
Garlic Bread
Banane Ka Samay
Banane ka samay: 15/20 minute
Ingredients of Garlic Bread (सामग्री)
- 4 spoon butter
- 2 spoon pisa hui lahsun
- Dhaniya Patti 1 spoon
- white Bread 2 piece
- Mozerrella cheese kadukas ( grated )
- kali mirch a pinch
- Namak a pinch
Recipe (विधि)
- Sbse phle ek bowl mein butter dalein aur usme lahsun aur dhaniya Patti dal kr ache se mix krein.
- Ab bread slice le aur bread ke upar lahsun ka tyar kiya hua mixture lagaiye.
- Dhyan rhe pure bread pr ye mixture hona chahiye.
- Ab iske upar mozerrella cheese dal de.
- Phir ek bread ke upar dura bread rkh de.
- Ek nonstick pan le aur gas pr rkh kr garam krein.
- Ab is pan pr tyar kiya hua bread rkhe aur phir bread ke upar wale part pr bhi lahsun ka mixture lagaiye.
- Isi trh bread ko palte aur bread ke dusri taraf bhi lahsun mixture lagaiye.
- Gas ko slow rkhna hai.
- Ab slow gas pr is bread ko sekein aur plt kr dusri taraf se bhi sekein.
- Now, is bread ke dono tarf thodi si kali mirch aur namak dalein.
- Ab yeh recipe tyar hai.
- Ise ek plate mein nikale aur apni pasand ki shape mein kat kr serve krein.
Nutrition Facts of Garlic Bread
Amount Per 100 Grams >> Calories 350 |
% Daily Value* | |
Total Fat 17 g | 26% |
Saturated fat 5 g | 25% |
Polyunsaturated fat 5 g | |
Monounsaturated fat 4.7 g | |
Trans fat 0.2 g | |
Cholesterol 0 mg | 0% |
Sodium 544 mg | 22% |
Potassium 103 mg | 2% |
Total Carbohydrate 42 g | 14% |
Dietary fiber 2.5 g | 10% |
Sugar 3.7 g | |
Protein 8 g | 16% |
Vitamin A | 0% | Vitamin C | 0% |
Calcium | 2% | Iron | 17% |
Vitamin D | 2% | Vitamin B-6 | 5% |
Cobalamin | 1% | Magnesium | 5% |
Frequently Asked Questions (FAQs)
- Is garlic bread good for health?
- How do you make garlic bread from scratch?
- Can you eat garlic bread without cooking it?
- Is Garlic Bread French or Italian?
Leave a Reply