

Cup Pizza banana bhut hi easy hai. Ye ek instant recipe hai jise aap 5 se 10 minute mein bna skte hai.hai. Pizza to bachon dwara bhi bhut pasand kiya jata hai. Ydi koi party hai ya bacho ki birthday party mein bhi ise aap ek sath kai cup pizza bna kr rkh skte hai. Ise bnane ke liye sbhi ingredients bhi hme ghr mein hi mil jayenge. To aiye shuru krte hai ise bnane ki vidhi.
Cup Pizza
Banane Ka Samay
Banane ka samay:10 minute
Ingredients (सामग्री)
- Maida 1/2 cup
- Baking powder 1/2 spoon
- Baking soda 1/8 spoon
- Namak a pinch
- Oil 2 spoon
- Milk 6 spoon
- Pizza sauce 2 spoon
- Vegetables ( olives, jalapenos, shimla mirch )
- Mozerrella Cheese
Recipe of Cup Pizza (विधि)
- Sbse phle aap ek microwave cup le.
- Ab isme phle maida dalein.
- Phir isme baking powder, baking soda, namak aur oil bhi dal de.
- Ab isme dudh dal kr ache se mix krein.
- Dhyan rhe ki mix krne ke bad isme koi lumps na rhe.
- Mix krne ke bad isme aap vegetable like olives, jalapenos aur lambi kati hui Shimla mirch se garnish krein.
- Ab is cup ko microwave mein rkh de aur ise 3 se 4 minute tk high temperature pr pkne de.
- 4 minute bad apka cup pizza tyar hai.
- Ise nikal kr ise chilli flakes ki seasoning de aur enjoy krein.
Sujhav
- Isme aap apni pasand ki vegetable bhi dal skte hai like onion, corn, tomato etc.
- Ydi apke pas pizza sauce nhi hai to aap isme mayonaise aur tomato sauce ki layer bhi de skte hai.
- Ise aap kbhi bhi bna skte hai. Ye ek instant recipe hai.
Nutrition Facts Of Cup Pizza
Calories | 105.7 |
---|---|
Total Fat | 5.6 g |
Saturated Fat | 3.3 g |
Polyunsaturated Fat | 0.2 g |
Monounsaturated Fat | 0.3 g |
Cholesterol | 19.4 mg |
Sodium | 302.7 mg |
Potassium | 29.0 mg |
Total Carbohydrate | 7.7 g |
Dietary Fiber | 0.5 g |
Sugars | 1.4 g |
Protein | 5.6 g |
Vitamin A | 4.3 % |
---|---|
Vitamin B-12 | 0.0 % |
Vitamin B-6 | 0.1 % |
Vitamin C | 0.5 % |
Vitamin D | 0.0 % |
Vitamin E | 0.0 % |
Calcium | 10.5 % |
Copper | 1.1 % |
Folate | 1.8 % |
Iron | 2.2 % |
Magnesium | 0.9 % |
Manganese | 2.6 % |
Niacin | 2.2 % |
Pantothenic Acid | 0.0 % |
Phosphorus | 0.6 % |
Riboflavin | 1.8 % |
Selenium | 3.2 % |
Thiamin | 2.8 % |
Zinc | 1.8 % |
Leave a Reply